Dubone valon ko sharminda kar chuka hunga
main Duub kar hi sahi paar utar chuka hunga
pahunch to ja.unga ab-e-hayat tak lekin
zaban bhigone se pahle hi mar chuka hunga
suna.i ja.egi jab tak mujhe saza-e-suḳhan
sukut-e-vaqt men avaz bhar chuka hunga
misal-e-reg huun men sa.aton ki muTThi men
vo jab tak aa.ega saara bikhar chuka hunga
zamana aa.ega us vaqt ḳhair-maqdam ko
jab is jahan se ‘muzaffar’ guzar chuka hunga
Leave a Reply