jahil ko agar jehl ka in.aam diya jaa.e
is hadisa-e-vaqt ko kya naam diya jaa.e
maiḳhane ki tauhin hai rindon ki hatak hai
kam-zarf ke hathon men agar jaam diya jaa.e
hai ḳhu-e-ayazi hi sazavar-e-malamat
mahmud ko kyuun ta.ana-e-ikram diya jaa.e
zid hai ki unhen maan ke sarḳhil-e-baharan
ghunchon ki taraf se koi paigham diya jaa.e
ham maslahat-e-vaqt ke qaa.il nahin yaaro
ilzam jo dena hai sar-e-am diya jaa.e
behtar hai ki is bazm se uTh aa.iye ‘mohsin’
sarqe ko jahan rutba-e-ilham diya jaa.e
Leave a Reply