azad nahin zehn abhi fikr-e-badan se
nikla nahin insan abhi apne gahan se
ab daar se milta hai tira qamat-e-bala
shikva tha tire qad ko bahut sarv-o-saman se
mausam ka nahin apne koi jism shanasa
mathe ka ta.alluq nahin mathe ki shikan se
dushvar tha kuchh main bhi zamane ke hunar par
kuchh duur rakha vaqt ne mujh ko mire fan se
kya us ko ḳhabar hai kahan le ja.egi ḳhushbu
vo phuul ki utra hai abhi shaḳh-e-chaman se
har rang mila hai mujhe maazi ki dhanak se
har tarz na.i aa.i hai andaz-e-kuhan se
utra hai ‘samad’ shahr pe vo rang-e-takalluf
fan ko bhi ta.alluq nahin be-saḳhta-pan se
Leave a Reply