udaas shaam ki tanha.iyon men jalta hua
vo kaash aa.e kabhi mere paas chalta hua
shab-e-firaq ne mismar saare ḳhvab kiye
koi to muzhda suna.e ye din nikalta hua
hai kya ajab ki kabhi chand bhi andheron men
sukun talash kare zaviye badalta hua
mire masiha ḳhuda aaj tera rakkhe bharam
nazar mujhe nahin aata ye ji bahalta hua
main raushni ke nagar men paḌav ḳhaak karun
Dara raha hai mujhe apna saaya Dhalta hua
Leave a Reply