• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Qatre Mein Bhi Chhupe Hain Bhanwar Raqs Kijiye

Qatre Mein Bhi Chhupe Hain Bhanwar Raqs Kijiye

qatre men bhi chhupe hain bhanvar raqs kijiye

qaid-e-sadaf men misl-e-guhar raqs kijiye

kiije fasurdagi-e-tabi.at ka kuchh ilaaj

is ḳhak-dan men misl-e-sharar raqs kijiye

ik naujavan ne aaj buzurgon se kah diya

hoti nahin jo umr basar raqs kijiye

suuje hain paanv aankh se hi taal dijiye

uljha hua hai tar-e-nazar raqs kijiye

gardish men ik sitara-e-be-chara hi nahin

hai asman bhi zer-o-zabar raqs kijiye

guzre jo mah-o-sal to lai bhi badal ga.i

ab ke baras ba-rang-e-digar raqs kijiye

fariyad kijiye na koi zulm Dha.iye

ik vahm hai shikast-o-zafar raqs kijiye

is ta.ife men ek kami hai to aap ki

ai dushmanan-e-ilm-o-hunar raqs kijiye

fashion hai aj-kal ka madari ki DugDugi

dil chahe ya na chahe magar raqs kijiye

apni to jhonpaḌi men thirakta nahin charagh

ja kar kisi raqib ke ghar raqs kijiye

‘sayyad’ na radio na cinema hai aap ka

apne hi giit ga.iye aur raqs kijiye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Wo Jo Har Rah Ke Har Mod Par Mil Jata Hai

Kaun Se Jazbaat Le Kar Tere Pas Aaya Karun

Lambi KHamoshi Ki Sazish Ko Harae Koi

Jab Se Apne Ghar Ke Baam-O-Dar Se Nikle Hain

akhtar-hoshiyarpuri

Kise Khabar Jab Main Shahr-e-Jaan Se Guzar Raha Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet