• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh Aise Log Bhi Duniya Mein Pae Jate Hain

Kuchh Aise Log Bhi Duniya Mein Pae Jate Hain

kuchh aise log bhi duniya men paa.e jaate hain

jahan bhi jaa.en diye vo jala.e jaate hain

ye azma.ishen yuun hi ata nahin hotin

jo log ḳhaas hon vo azma.e jaate hain

hamen husain se paighambaron se nisbat hai

ham is liye bhi bahut dil dukha.e jaate hain

vo shaḳhs surat-e-ḳhurshid jab nikalta hai

to rang-o-nur men ham bhi naha.e jaate hain

use bhi pyaar hai un se jo dil-shikasta hon

so us ki bazm men ham bhi bula.e jaate hain

main apne dil se pareshan huun kidhar ja.un

jo bevafa the use yaad aa.e jaate hain

to kul mila ke mujhe baat ye samajh aa.i

jo nek log hon aksar sata.e jaate hain

dua salam na hadd-e-adab na ijz-o-ḳhulus

ye mere shahr men ab kaun aa.e jaate hain

ajiib log hain sha.ir bhi ye ḳhuda jaane

koi sune na sune ye suna.e jaate hain

mira yaqin hai ye ḳhamushi ye gahra sukut

ye log ḳhud nahin aate ye laa.e jaate hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

kishwar-naheed

Tishnagi Achchhi Nahin Rakhna Bahut

Tamam KHushiyan Tamam Sapne Hum Ek Duje Ke Nam Kar Ke

Ye Narm Hath Mare Hath Mein Thama Dije

Hum Apne baKHt-E-Siyah Ke Asar Mein Rahte Hain

Mast Hun Muttaqi Nahin Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet