zamana hai ki guzra ja raha hai
ye dariya hai ki bahta ja raha hai
vo uTThe dard uTTha hashr uTTha
magar dil hai ki baiTha ja raha hai
lagi thi un ke qadmon se qayamat
main samjha saath saaya ja raha hai
zamane par hanse koi ki ro.e
jo hona hai vo hota ja raha hai
mire dagh-e-jigar ko phuul kah kar
mujhe kanTon men khincha ja raha hai
bahar aa.i ki din holi ke aa.e
gulon men rang khela ja raha hai
ravan hai umr aur insan ghafil
musafir hai ki sota ja raha hai
sar-e-mayyat hai ye ibrat ka nauha
mohabbat ka janaza ja raha hai
‘jalil’ ab dil ko apna dil na samjho
koi kar ke ishara ja raha hai
Leave a Reply