be-mausam ki baten karne vaale hain
ranj-o-gham ki baten karne vaale hain
zaḳhm haTo tum de do mujh ko rasta ab
ham marham ki baten karne vaale hain
zamzam ki baten bhi is men shamil thiin
do aalam ki baten karne vaale hain
koi adnaon ki baten karta nahin
sab aazam ki baten karne vaale hain
baat hui ab ḳhatm samundar valon ki
ab shabnam ki baten karne vaale hain
Leave a Reply