dikhla na khal-e-naf tu ai gul-badan mujhe
har laala yaan hai nafa-e-mushk-e-khutan mujhe
hamdam vabal-e-dosh na kar pairahan mujhe
kanta sa hai khatakta mira tan badan mujhe
phirta liye chaman men hai divana-pan mujhe
zanjir-e-pa hai mauj-e-nasim-e-chaman mujhe
tasbih-e-daur-e-bazm men dekho imaam ko
bakhshi hai haq ne zeb-e-sar-e-anjuman mujhe
ai mere yasman tire dandan-e-abdar
gulshan men hain rulate gul-e-yasman mujhe
mehrab-e-kaba jab se hai tera kham-e-kaman
said-e-haram samajhte hain navak-fagan mujhe
hai tan men risha-ha-e-nae khushk ustukhvan
kyuun khinchta hai kanton men ai zof-e-tan mujhe
ai lab misi ko phenk ki nilam hai kam-baha
yaqut de ya de koi lal-e-yaman mujhe
huun shama ya ki shola khabar kuchh nahin magar
fanus ho raha hai mira pairahan mujhe
ik sarzamin-e-lala bahar o khizan men huun
yaksan hai dagh-e-taza o dagh-e-kuhan mujhe
khusrav se tesha bola jo chatun na tera khuun
shirin na hove khun-e-sar-e-koh-kan mujhe
rukh par tumhare daam jo daala hai sabze ne
aata nazar hai dida-e-anqa-dahan mujhe
ye dil vo hai ki kar de zamin asman ko khaak
ik dam ko barq de jo pinha pairahan mujhe
kuche men tere kaun tha leta bhala khabar
shab chandni ne aa ke pahnaya kafan mujhe
dikhlata asman se hai ru-e-zamin ki sair
ai rashk-e-mah teri jabin ka shikan mujhe
rakhta hai chashm-e-lutf pe kis kis ada ke saath
deta hai jaam saqi-e-paiman-shikan mujhe
hai jazb-e-dil durust to chah-e-firaq se
khinchegi teri zulf shikan-dar-shikan mujhe
dikhlata ik ada men hai sau sau tarah banao
is sada-pan ke saath tira bankpan mujhe
jaise kuen men ho koi taara chamak raha
dil sujhta hai yuun tah-e-chah-e-zaqan mujhe
aa kar use bhi do kabhi ankhen zara dikha
ankhen dikha raha hai ghazal-e-khutan mujhe
aa ai mire chaman ki hua men tiri hava
sahra-e-dil hua hai chaman-dar-chaman mujhe
ya rab ye dil hai ya ki hai aina-e-nazar
dikhla raha hai sair o safar dar vatan mujhe
aaya huun nuur le ke main bazm-e-sukhan men ‘zauq’
ankhon pe sab bithaenge ahl-e-sukhan mujhe
Leave a Reply