ye meri duniya ye meri hasti
naghma-tarazi sahba-parasti
shair ki duniya shair ki hasti
ya nala-e-gham ya shor-e-masti
sab se gurezan sab par barasti
ankhon ki masti mahngi na sasti
ya khuld o saaqi ai jazb-e-masti
ya tukde tukde daman-e-hasti
mahv-e-safar huun garm-e-safar huun
meri nazar men rifat na pasti
in ankhdiyon ka aalam na puchho
sahba hi sahba masti hi masti
vo aa bhi jaate vo ho bhi jaate
chashm-e-tamanna phir bhi tarasti
un ka karam hai un ki mohabbat
kya mere naghme kya meri hasti
Leave a Reply