• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tirgi Mein Ek Pal Ka Hi Sahaara Kar Gaya

Tirgi Mein Ek Pal Ka Hi Sahaara Kar Gaya

tirgi men ek pal ka hi sahara kar gaya

vo charaghon ki tarah shab men ujala kar gaya

justuju ḳhvahish talab hasrat tamanna aarzu

jaate jaate vo sabhi jazbon ko ThanDa kar gaya

fasla kuchh bhi nahin tha jism-o-jan ke darmiyan

vo magar us men bhi thoḌa fasla sa kar gaya

ye bahut achchha kiya ki pher li us ne nazar

kam se kam mere yaqin ko aur pakka kar gaya

abr ka vo ek TukḌa tha bahut chhoTa magar

chilchilati dhuup men kuchh der saaya kar gaya

is qadar dushvariyon ka ye baḌa ehsan hai

hadson ka silsila iman puḳhta kar gaya

ḳhvab ankhon ko dikha kar saare manzar le liye

mujh ko bina.i ata kar ke vo andha kar gaya

main use ilzam duun ‘mashkur’ ye mumkin nahin

vo mere alfaz le kar mujh ko gunga kar gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdul-majeed-salik

Khirad Mein Mubtila Hai Salik diwana Barson Se

Jab Utre Chand Aangan Mein to Raaten Baat Karti Hain

poet

Wajh-E-Rangini-E-Hayat Gai

KHwab Le Kar Kahan Nikal Aae

Taskin-E-Dil Ko Ashk-E-Alam Kya Bahaun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet