jin ke nasib men ab-o-dana kam kam hota hai
maail un ki samt zamana kam kam hota hai
raste hi men ho jaati hain baten bas do-char
ab to un ke ghar bhi jaana kam kam hota hai
mushkil hi se kar leti hai duniya use qubul
aisi haqiqat jis men fasana kam kam hota hai
kabhi jo baten ishq ke sal-o-sin ka hasil thiin
ab un baton ka yaad aana kam kam hota hai
rind sabhi saghar par saghar chhalkate jaate hain
kyuun labrez mira paimana kam kam hota hai
baat pate ki kar jaata hai yuun to kabhi kabhi
hosh men lekin ye divana kam kam hota hai
kitni muqaddas hogi ‘akbar’ us bachche ki pyaas
jis ki ik Thokar se ravana zamzam hota hai
Leave a Reply