dil ki divana tabi.at ko musibat na bana
tujh se yarana hai yarana mohabbat na bana
main tujhe dil ki sunata huun mujhe tu dil ki
is suhulat ko miri jaan aziyyat na bana
ham ko le de ke ta.alluq hi bacha hai tera
is ko mashkuk na kar ba.is-e-tohmat na bana
ek divar ne rishton ka taqaddus toḌa
bhaa.i roka tha tujhe ghar men ye la.anat na bana
niind ko taaq pe dhar aur diya pahlu men
girya-e-aḳhir-e-shab men koi diqqat na bana
beTiyan rizq men barakat ka sabab hoti hain
ghar ki rahmat ko ghalat soch se zahmat na bana
aks ka hona hai mashrut tire hone se
ḳhud ko pahchan magar aks ko hairat na bana
hu-ba-hu us ki adaon ki ada lazim hai
yaar ki sunnat-e-mas.ud ko bid.at na bana
iḳhtilafat hain insan ka ḳhasa ‘tahsin’
bahs karni hai to kar bahs ko nafrat na bana
Leave a Reply