paanv phanse men haath chhuḌane aaya tha
tum se mil kar vapas jaane aaya tha
saara shor mire andar ka jaag uTTha
sannaTon men dil bahlane aaya tha
jangal jaisi raat kahan tanha kaTti
tera gham bhi haath baTane aaya tha
duniya par main ne bhi parda daal diya
vo bhi dil ki baat batane aaya tha
ankhen jhapkin ahd-e-javani biit gaya
le kar kitne ḳhvab suhane aaya tha
‘azim’ dil ki kai-zada chaTTanon par
dard ka lashkar paanv jamane aaya tha
Leave a Reply