Aish-E-Duniya Ka Jab Shumar Na Tha

aish-e-duniyā kā jab shumār na thā

tab hameñ dil pe iḳhtiyār na thā

ham bhī kis qāfile meñ shāmil the

jis ke pīchhe koī ġhubār na thā

umr bhar ishq kā fareb rahā

kab hameñ apnā intizār na thā

raat din ek hī rahā aalam

kaun sā lamha sogvār na thā

vo bhī ma.asūm thā agar ‘shohrat’

apnā dāman bhī dāġhdār na thā

Leave a Comment