soch bhi us din ko jab tu ne mujhe socha na tha
koi dariya dasht ke atraf men bahta na tha
us ko kab fursat thi jo chehron ko paḌhta ghaur se
varna sat.h-e-a.ina ka har varaq saada na tha
jaane kyuun ab raat din ghar men paḌa rahta hai vo
pahle yuun ḳhud men kabhi simTa hua rahta na tha
ḳhushbuon rangon ko pi leti hai aakar zard-sham
peḌ hai andesha-e-anjam to sukha na tha
shah-rahon se gurezan hai magar kuchh soch kar
adatan pahle to vo pagDanDiyan chalta na tha
Leave a Reply