talash-e-rizq men divan karta rahta huun
abhi safar nahin saman karta rahta huun
ḳhud apni raah men aksar pahaḌ ugata huun
ḳhud apni mushkilen asan karta rahta huun
sajata rahta huun kaghaz ke phuul shaḳhon par
main titliyon ko pareshan karta rahta huun
main tuḳhm-e-ashk se tufan ugane ki zid men
tamam-shahr ko hairan karta rahta huun
mire makan men dhuan bhi ghuTan bhi hai lekin
main ḳhushbuon ko bhi mehman karta rahta huun
Leave a Reply