jalta raha charagh yaqin-o-guman ka
lekin hua na duur andhera makan ka
gandum ki baliyon se bahut raushni hui
is raushni se qarz na utra kisan ka
anchal kisi ka tez hava ne uda diya
kashti se rabta na raha badban ka
zakhm-e-navazishat mahakta raha sada
dekha koi gulab na is an-ban ka
‘fakhir’ jami hui hai abhi tak vahin nigah
malba pada hua hai jahan us makan ka
Leave a Reply