jahan jahan hai sahar ka aalam vahin vahin raushni nahin hai
hazar sham.en huiin hain raushan magar kahin raushni nahin hai
na mujh ko bahkao in ujalon ki mehr-afroz rangton se
fareb hai ye kisi kiran ka nahin nahin raushni nahin hai
hamara zauq-e-nigah ab tak hai gumrahi ki naqab oḌhe
ajab tamasha hai tere jalvon men mah-jabin raushni nahin hai
jahan pe suraj chamak raha hai vahin pe zulmat baras rahi hai
main kyuun na zulmat se pyaar kar luun ki dil-nashin raushni nahin hai
na.e ujale udaas ruhen na.e savere bujhe hue hain
ye ek dhoka hai raushni ka dil-e-hazin raushni nahin hai
charagh-e-ḳhufta charagh-e-raushan se jagmagata raha hamesha
maqam-e-hasti ke in andheron pe ḳhashmagin raushni nahin hai
baḌhe hain manzil ki samt ham bhi shua-e-‘baḳht’-e-jamil le kar
hamen taraddud nahin hai koi agar kahin raushni nahin hai
Leave a Reply