aa.en vo laakh dekhne valon ke samne
uThti hai aankh mahr-jamalon ke samne
mumkin nahin javab tiri chashm-e-mast ka
ye faisla hua hai ghazalon ke samne
tanha na ek hazrat-e-musa ko ghash hua
Thahra hai kaun barq-jamalon ke samne
ho jaa.e husn ko na kisi ki nazar kahin
achchhe nahin hain dekhne valon ke samne
duniya men nek-o-bad to koi chiiz hi nahin
hona hai sab ko apne ḳhayalon ke samne
Leave a Reply