kai din ho gae ya-rab nahin dekha hai yaar apna
hua maalum yuun shayad kiya kam un ne pyaar apna
hava bhi ishq ki lagne na deta main use hargiz
agar is dil pe hota haae kuchh bhi ikhtiyar apna
ye dono lazim-o-malzum hain goya ki aapas men
na yaar apna kabhu hote sunane rozgar apna
hua huun khaak us ke gham men to bhi sina-safi se
nahin khota hai vo aina-ru dil se ghubar apna
ye shoala sa tumhara rang kuchh zor hi jhamakta hai
jala kyunkar na duun main khirman-e-sabr-o-qarar apna
sar-e-fitrak tha us ko na tha lekin nasibon men
tadapta chhod kar jaata raha zalim shikar apna
tujhe lazim hai hona mehrban ‘taban’ pa ai zalim
ki hai betab apna ashiq apna be-qarar apna
Leave a Reply