• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Taswir-E-Zulf-O-Ariz-E-Gulfam Le Gaya

Taswir-E-Zulf-O-Ariz-E-Gulfam Le Gaya

poet

tasvir-e-zulf-o-ariz-e-gulfam le gaya

murghan-e-quds ke liye gul-dam le gaya

duniya se dagh-e-zulf-e-siyah-fam le gaya

main gor men charagh sar-e-sham le gaya

ki tark main ne shaikh-o-barahman ki pairvi

dair-o-haram men mujh ko tira naam le gaya

kya kya dikhai sair-e-safed-o-siyah-e-dahr

kis kis taraf ko ablaq-e-ayyam le gaya

eajaz main ne rajat-e-khurshid ka kiya

bala-e-bam us ko sar-e-sham le gaya

bhatke phire do amla-e-dair-o-haram men ham

is samt kufr us taraf islam le gaya

chehle ke gul chadhae koi meri qabr par

main arzu-e-vasl-e-gul-andam le gaya

pistan-e-nau-damida ne malvae khuub haath

main dagh-e-hasrat-e-samar-e-kham le gaya

didar dostan-e-vatan ka dikha diya

mujh ko adam men ablaq-e-ayyam le gaya

pahna kafan to kucha-e-qatil main paai raah

kaabe men mujh ko jama-e-ehram le gaya

rah-e-adam men sair-e-charaghan nazar padi

turbat men dagh-e-gham dil-e-nakam le gaya

dozakh men jal gaya kabhi jannat men khush raha

mar kar bhi saath gardish-e-ayyam le gaya

nafrat hui do-rangi-e-lail-o-nahar se

main subh-o-sham us ko lab-e-bam le gaya

zer-e-zamin ghurub hua aftab aaj

turbat men daagh bada-e-gulfam le gaya

tir-e-sitam se mil ke uda janib-e-adam

par aap ke khadang se main daam le gaya

main justuju-e-kufr men pahuncha khuda ke paas

kaabe tak un buton ka mujhe naam le gaya

saaqi ke paas vusat-e-mashrab ne raah di

main kasa-e-falak evaz-e-jam le gaya

kuchh lutf ishq ka na mila jite-ji ‘munir’

nahaq ka ranj muft ka ilzam le gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Barasti Aag Se Kuchh Kam Nahin Barsat Sawan Ki

poet

Qimat Nahin Rakkhi Qad-O-Qamat Nahin Rakkha

Koi Shisha Na Dar Salamat Hai

Zulmat Hi Pahle Thi Jo Hawale Mein Rah Gai

Badal Diye Hain Mukammal Nisab Ab Ke Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet