vahshat men dil kitna kushada karna paḌta hai
in giili ankhon ko sahra karna paḌta hai
mujh ko ik avaz tiri sunne ki koshish men
kitne sannaTon ka pichha karna paḌta hai
tab khulti hai ham par qadr-o-qimat phulon ki
jab kanTon ke saath guzara karna paḌta hai
yaar baḌa ban kar rahna asan nahin hota
apne aap ko kitna chhoTa karna paḌta hai
koh-e-giran haail hota hai jis ke raste men
ik din us ko tez dhamaka karna paḌta hai
apne ghar ki baten ‘azim’ ghar tak rakhne men
divar-o-dar se samjhauta karna paḌta hai
Leave a Reply