yuun sunahri dhuup bikhri hai ruḳh-e-kohsar par
jis tarah ghaza chamakta hai tire ruḳhsar par
uḌte lamhon ko pakaḌne ki tamanna hai abas
ye parinde to kabhi Tikte nahin ashjar par
vo mire chehre pe kya maazi ki tahriren paḌhe
us ki nazren to jami hain aaj ke aḳhbar par
aaj to ik hadisa us ko bhi nanga kar gaya
laakh parde the paḌe jis shaḳhs ke kirdar par
aarzu ye hai ki tu ai kaash ho jaa.e amar
naam tera likh raha huun ret ki divar par
kaise kaise log aḳhir kis tarah raunde ga.e
kaun hai ‘betab’ qadir vaqt ki raftar par
Leave a Reply