kabhi kabhi main unhen dil men aan rakhta huun
phir ek ḳhvab men donon jahan rakhta huun
jab asman sabhi ke saron pe qaa.em hai
to kis ke vaste main sa.eban karta huun
main lafz-o-ma.ani badalte hue sar-e-qirtas
palaT ke phir vahi nauha bayan rakhta huun
azal se ek hi nuqsan kha raha hai mujhe
azal se ḳhud ko faqat ra.egan rakhta huun
sada-e-kun pe bina aadmi ki rakkhi ga.i
is ek saut pe main apne kaan rakhta huun
ajiib ramz hai qirtas aur lakir ke beach
zamin khinchta huun asman rakhta huun
purana aks naya aks ban ke ubhrega
main aa.ine ke muqabil guman rakhta huun
vo mere vaste kya kya sambhale rakhta hai
main us ke vaste kis kis ka dhyan rakhta huun
Leave a Reply