tu ḳhud kahan hai qafila-e-salar dekhna
ab ham kahan hain alam-e-raftar dekhna
ham chal paḌe hain manzil-e-maqsud ke liye
ab sang dekhna hai na divar dekhna
taz.in-e-gulsitan se nahin vasta jinhen
un ke gharon men phuul ke ambar dekhna
jab izn-e-arz-e-hal diya hai to chup raho
ab narava hai talḳhi-e-guftar dekhna
ai baghban na dekh hiqarat se is tarah
jab ham na hon to alam-e-gulzar dekhna
aa.e to koi marka-e-hashr samne
ahl-e-junun ka jazba-e-isar dekhna
adna samajh rahe ho hamari bisat ko
yaaro sabat-e-azm sar-e-dar dekhna
sau baar main ne un ko pukara hai ai ‘nasir’
guzra bahut garan unhen ik baar dekhna
Leave a Reply