zamana dekhta hai hans ke chashm-e-ḳhun-fishan meri
magar main ḳhush huun un ki dastan hai aur zaban meri
akela huun bhari duniya men main kis ko kahun apna
koi hota to kar deta mukammal dastan meri
guzarta aa raha huun jaane men kin kin maqamon se
zamin ke ba.ad aaya rahguzar men asman meri
main yarab ḳhaak ka putla sahi lekin ye kya kam hai
hui hai muntaḳhab hasti bara.e imtihan meri
fana ki manzilon par ḳhatm hain rahen anasir ki
yahi ab dekhna hai ruuh jaati hai kahan meri
na jaane silsila jaata kahan tak jism-e-ḳhaki ka
ḳhuda ka shukr hai had ban ga.e kaun-o-makan meri
zara ai azm-e-dil ruḳh pher tufan ki havaon ke
su-e-girdab kashti le chali mauj-e-ravan meri
zaban par le to a.unga magar dil thamna hoga
mujhe ma.alum hai rudad-e-dil hai la-bayan meri
kaḌak kar bijliyan rah ja.engi chhaT ja.enge badal
rahega zindagi ban kar sukun-e-ashiyan meri
‘falak’ main sar-zamin-e-‘dagh’-o-‘ghalib’ ka huun ik zarra
vatan hai shahr-e-dehli zindagi urdu zaban meri
Leave a Reply