guzri jo rahguzar men use darguzar kiya
aur phir ye tazkira kabhi ja kar na ghar kiya
chashm-e-saliqa-saz to ḳhamosh hi rahi
ruḳhsat pe teri dil ne bahut shor-o-shar kiya
azurdagan-e-hijr ki vahshat ajiib hai
nikle na ghar se aur na abad ghar kiya
be-barg-o-bar jism tha mahrum-e-e’tibar
sar-gami-e-saba ne shajar ko shajar kiya
apne siva kisi ko ye dil manta na tha
is dil ko ustuvar tiri aankh par kiya
ye ishq marhala to safar-dar-safar ka hai
ab dekhna hai kis ne kahan tak safar kiya
aise kushada-dast kahan ke the ham ‘razi’
shayad lihaz-e-zahmat-e-daryuza-gar kiya
Leave a Reply