
Poet
firaq men dam ulajh raha hai ḳhayal-e-gesu men jankani hai
tanab-e-jallad ki tarah se rag-e-gulu aj-kal tani hai
nahin hai parva-e-mal-o-daulat safa-e-batin se dil ghani hai
gada hain hajat-rava-e-sultan ye kimiya-e-farotani hai
jigar men hain dagh-e-mahr-o-ulfat shigaf-e-pahlu hai jeb-e-mashriq
shab-e-lahad hai ki sub.h-e-mahshar ye kis qayamat ki raushni hai
faza.el-e-ittihad-e-millat jahan men vaj.h-e-muḳhalifat hain
muaaf hi rakhiye shaiḳh sahab ye rahbari hai ki rahzani hai
gharaz na rakkhe mai-e-jahan se to ham bhi qaa.il hon tere vaa.iz
kamal kya jab ummid-e-farda hi illat-e-pak-damani hai
hamen na raas aaya dil lagana ghazab hua phir gaya zamana
koi to kahta hai qaid kar do koi ye kahta hai kushtani hai
raqib ko paas gar biThaya to mujh se hargiz na zabt hoga
miTa hi duun ek din ye jhagḌa bas ab to dil men yahi Thani hai
koi kisi se na dil laga.e na sar pe koh-e-alam uTha.e
nahin bharosa ḳhuda bacha.e ki ishq men jaan par bani hai
khapi hai dil men hansi tumhari firaq men kaundti hai bijli
rahen na kyuun ashk-e-surḳh jaari jigar men almas ki kani hai
kabhi to aa mere rashk-e-isa hui hai muzmin tap-e-juda.i
nahin shifa ki ummid baaqi numud chehre se murdani hai
hua ye laghar asiir tera ki sab ko hai naqsh-e-pa ka dhoka
gale men jo tauq tha pahnaya vo ab use hisn-e-ahani hai
na tegh-e-qatil ka kyuun ho shohra kiya hai jo rang-e-jism aisa
diye jo Tanke to hai ye dhoka badan ka malbus sozani hai
zamin par girte girte ham ko suna gaya kasa-e-sifalin
hua jahan daur-e-umr-e-aḳhir ye saz-e-hasti shikastni hai
jigar men barson khaTak rahegi phunkenge pahlu chamak rahegi
ḳhayal-e-mizhgan-e-yar-e-jani sinan-e-dil-doz ki ani hai
azal se rindon ko mai ki aadat hai aur vaa.iz ki sarzanish ki
taḳhaluf-e-vaz.a se hai jhagḌa na dosti hai na dushmani hai
‘habib’ piiri men hain rangili vo sabza rangon hi par hain marte
hue hain do din pata nahin hai kisi se gahri kahin chhani hai

Leave a Reply