is zamin o asman par ḳhaak Daal
kuchh nahin tera yahan par ḳhaak Daal
naqsh hone ki tiri surat hai aur
is vajud-e-be-nishan par ḳhaak Daal
ḳhatm sab kuchh haar se hota nahin
uTh aur ehsas-e-ziyan par ḳhaak Daal
dard jab samjhe tira vo be-zaban
arzu-e-ham-zaban par ḳhaak Daal
is makani qaid se bahar nikal
is zaman o la-zaman par ḳhaak Daal
tu bharam hai aur na koi vahm hai
chhoḌ maaya ke jahan par ḳhaak Daal
in asatiri fazaon se nikal
is tilism-e-dastan par ḳhaak Daal
is se pahle har yaqin ho gard gard
har qayas aur har guman par ḳhaak Daal
Leave a Reply