Daur-E-Mai Hai Magar Surur Nahin

daur-e-mai hai magar surūr nahīñ

jal rahe haiñ charāġh nuur nahīñ

choT khāne kā shauq hai dil ko

nigah-e-nāz kā qusūr nahīñ

laakh aao na yuuñ qarīb mire

tum kisī vaqt dil se duur nahīñ

duur duniyā se hai maqām tirā

mere zauq-e-nazar se duur nahīñ

maiñ nahīñ tark-e-mai pe gar qādir

tū to majbūr ai ġhafūr nahīñ

lutf kyā deñ bahār-o-abr ki jab

bāda-e-zīst meñ surūr nahīñ

bāda-e-shauq dil se pī ai ‘ashk’

shīsha-o-jām kuchh zarūr nahīñ

Leave a Comment