Dilon Mein Koi Hawas Koi Aarzu Bhi Nahin

diloñ meñ koī havas koī aarzū bhī nahīñ

maiñ sab luTā chukā ab fikr-e-ābrū bhī nahīñ

zamāñ-makāñ se guzar kar huuñ ālam-e-hū meñ

safar tamām huā shauq-e-justujū bhī nahīñ

tire ḳhayāl kī sar-mastiyāñ dimāġh meñ haiñ

ye vo nasha hai ki minnat-kash-e-subū bhī nahīñ

vo band āñkhoñ meñ rah rah ke jagmagātā hai

namāz-e-ishq meñ pābandī-e-vuzū bhī nahīñ

lahū badan meñ jo hotā to kuchh Tapaktā bhī

dahān-e-zaḳhm ko ab hājat-e-rafū bhī nahīñ

‘shamīm’ le ke kahāñ aa.ī zindagī mujh ko

ajiib shahr hai hamdam kahāñ adū bhī nahīñ

Leave a Comment