raat hai ya hava makanon men
jal raha hai diya makanon men
jaane kya ho gaya makinon ko
jaane kya ho gaya makanon men
log kin vahimon men rahte hain
kaTte hain saza makanon men
ik sitara zamin par utra
aur phir kho gaya makanon men
aisa lagta hai ḳhvab ki ta.abir
dekhta hai ḳhuda makanon men
ek saa.e se roz hota hai
amna-samna makanon men
in sitaron ka mashghala hai ‘rasa’
takna-jhankna makanon men
Leave a Reply