
Mazhar Mirza Jaan E Janaan
tajalli gar tiri past o buland un ko na dikhlati
falak yuun charkh kyuun khata zamin kyuun farsh ho jaati
hina tere kaf-e-pa ko na us shokhi se sahlati
ye ankhen kyuun lahu rotin unhon ki niind kyuun jaati
agar ye sard-mehri tuj ko asaish na sikhlati
to kyunkar aftab-e-husn ki garmi men niind aati
ilahi dard-e-gham ki sarzamin ka haal kya hota
mohabbat gar hamari chashm-e-tar se menh na barsati

Leave a Reply