jaane kitne hi raten hongi
jaane kitne hi din honge
jo tumhari bedari aur niind men
chaae ki pyaliyon men
aur mohabbat karne valon ke dilon men zinda hain
main tumhari avaz to ab bhi sun raha huun
kai dinon se mera phone jo band raha
vo ab meri ruuh men khul gaya hai
aur hamari ruhon ke darmiyan koi fasla nahin
kaun kahta hai ki tumhen duniya pasand nahin aai
to tum ne duniya chhod di
abhi to tashkil ke kai safhat ki tartib baaqi hai
abhi to tumhen bahuton ke zamir par pade hue
parde uthane hain
abhi to shiba oven men jo cake tayyar kar rahi hai
use khana baaqi hai
abhi to injala tum se meri jo shikayat karne vaali hai
ki main ne ye nahin kiya
main ne vo nahin kiya
goya tumhare mashvaron par
nae sire se kaan dharna hai
abhi to kai kaam baaqi hain
bhabhi ko banarsi sivaiyan tayyar karni hain
abhi to tasir tausif aur शरजील
tumhari avaz sunne ke muntazir hain
abhi to mahbub-‘khizan’ tumhen abad-ul-abad ke liye
cigarette chhodne ka mashvara dene vaale hain
main tumhari avaz to ab bhi sun raha huun
bagh-o-bahar aadmi to kabhi nahin marta
tumhari bagh-o-bahar avaz to main ab bhi sun raha huun
Leave a Reply