kaam akhir jazba-e-be-ikhtiyar aa hi gaya
dil kuchh is surat se tadpa un ko pyaar aa hi gaya
jab nigahen uth gaiin allah-ri meraj-e-shauq
dekhta kya huun vo jan-e-intizar aa hi gaya
haae ye husn-e-tasavvur ka fareb-e-rang-o-bu
main ye samjha jaise vo jan-e-bahar aa hi gaya
haan saza de ai khuda-e-ishq ai taufiq-e-gham
phir zaban-e-be-adab par zikr yaar aa hi gaya
is tarah khush huun kisi ke vada-e-farda pe main
dar-haqiqat jaise mujh ko e’tibar aa hi gaya
haae kafir-dil ki ye kafir junun-angeziyan
tum ko pyaar aae na aae mujh ko pyaar aa hi gaya
dard ne karvat hi badli thi ki dil ki aad se
dafatan parda utha aur parda-dar aa hi gaya
dil ne ik naala kiya aaj is tarah divana-var
baal bikhrae koi msatana-var aa hi gaya
jaan hi de di ‘jigar’ ne aaj pa-e-yar par
umr bhar ki be-qarari ko qarar aa hi gaya