• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Leta Hun Tera Nam Har Ek Nam Se Pahle

Leta Hun Tera Nam Har Ek Nam Se Pahle

leta huun tera naam har ik naam se pahle

kuchh zikr nahin karta huun us kaam se pahle

manzil ki sa.ubat kabhi azar na hogi

main naam tira leta huun har gaam se pahle

hai ishq ka aghaz hi anjam ka hasil

anjam nazar aata hai anjam se pahle

main ḳhud hi chala ja.unga maiḳhane se uTh kar

saaqi se jo laḌ jaa.e nazar jaam se pahle

rindadan-e-bala-nosh ki hai baat hi kuchh aur

mai piite nahin shaiḳh kabhi shaam se pahle

vahshat men zamana mujhe badnam na karta

ho jaata rafu chaak jo ilzam se pahle

kahte hain vahi aap jo kahta hai zamana

kuchh aur bhi kah lijiye badnam se pahle

ye un ki inayat se mira haal hua hai

kuchh vaar ata karte hain in.aam se pahle

kahta huun ghazal un ke tasavvur men ‘nazar’ jab

aalam hi ajab hota hai ilham se pahle

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Main Samajhta Tha Haqiqat Aashna Ho Jaega

Sufi

Kyun Na Apni Khubi-e-Qismat Pe Itraati Hawa

Haya Bhi Aankh Mein Waraftagi Bhi

Kucha-Ha-E-Dil-O-Jaan Ki Tira-Shabo Aas Marti Nahin

ajit-singh-badal

Na Shohrat Hai Na Ruswai Mere Pichhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet