ab koi gulshan na ujde ab vatan azad hai
ruuh ganga ki himala ka badan azad hai
khetiyan sona ugaen vadiyan moti lutaen
aaj gautam ki zamin tulsi ka ban azad hai
mandiron men sankh baaje masjidon men ho azaan
shaikh ka dharm aur din-e-barhaman azad hai
luut kaisi bhi ho ab is desh men rahne na paae
aaj sab ke vaste dharti ka dhan azad hai
Leave a Reply