rang laaya divana-pan mera
si rahe hain vo pairahan mera
main naved-e-bahar laaya tha
tazkira har chaman chaman mera
shabnam-e-fikr-o-gulsitan-e-suḳhan
jagmagata hai phulban mera
lala-o-gul khile hain kanTon par
in men uljha tha pairahan mera
ye bhi ab tak nahin hua ma.alum
main sajan ka huun ya sajan mera
jo bhi hai sab tiri inayat hai
jaan meri na ye badan mera
kya tujhe bhi ḳhayal aata hai
kabhi bhule se jan-e-man mera
us ne dekha tha muskura ke kabhi
umr bhar dil raha magan mera
ai sharab-e-suḳhan ke matvale
kuchh suḳhan hi nahin hai fan mera
‘vajd’ kis ka vatan kahan ka vatan
vo jahan hain vahin vatan mera
Leave a Reply