Wahi Wada Hai Wahi Aarzu Wahi Apni Umr-E-Tamam Hai

vahī va.ada hai vahī aarzū vahī apnī umr-e-tamām hai

vahī chashm hai vahī raah hai vahī sub.h hai vahī shaam hai

vahī ḳhasta-hāl ḳharāb hai vahī ḳhvāb kushta-e-ḳhvāb hai

vahī zindagī ko javāb hai na salām hai na payām hai

vahī josh nāla-o-āh meñ vahī sho.ala jān-e-tabāh meñ

vahī barq-e-yās nigāh meñ jo ḳhayāl hai so vo ḳhaam hai

vahī ḳhvāb-o-ḳhur kī talāsh hai vahī jān-o-dil meñ ḳharāsh hai

vahī rañj-e-ġhair-e-ma.āsh hai mujhe zindagī bhī harām hai

vahī hijr dushman-e-vasl hai vahī marg-o-zīst meñ fasl hai

vahī apne shaġhl se shaġhl hai vahī apne kaam se kaam hai

vahī shaq jigar na siyo siyo vahī ziist hai na jiyo jiyo

vahī ḳhūn-e-dil na piyo piyo vahī baada hai vahī jaam hai

vahī shauq-e-rāh hai rahnumā vahī jalva-gāh hai ruḳh-kushā

vahī bazm-e-nāz hai jā-ba-jā vahī har qadam pe maqām hai

vahī nīm-jāñ dam-e-vāpsīñ vahī nāla-kash suḳhan-e-hazīñ

vahī yās-e-zīst hai dil-nashīñ ki zabāñ pe aap kā naam hai

vahī rañj hai to yuuñ hī sahī vo ‘qalaq’ hī thā ki yuuñ hī nibhī

mirī aap ko bhī hai bandagī mirā ishq ko bhī salām hai

Leave a Comment