na paave chaal tere ki piyare ye dhalak dariya
chala jaave agarche rovta mahshar talak dariya
kahan aisa Mubakki ho ki jaave ta-falak dariya
nahin ham-chashm mere ashk ka maare hai jhuk dariya
hua hai chashm-e-hairat dekh teri aab raftari
kinare nahin raha hai khol in donon palak dariya
bhar aave ab-e-hasrat us ke munh men jab lahar aave
agar dekhe tire in narm galon ke thalak dariya
nahin hain ye hubab aate hain jo nazron men mardum ki
jalan mujh ashk ki siin dil men rakhta hai phalak dariya
agar ho koh to rele siin is lashkar ke chal jaave
kahan sakta hai mujh anjhuvan ki faujan siin atak dariya
asar karne ka nahin sangin-dilan men rovna hargiz
karare sakht hain be-ja raha hai sar patak dariya
yaqin aaya kiya jab us ke taiin paani siin bhi patla
hamare ashk ki garmi men kuchh rakhta tha shak dariya
nahin mumkin hamare dil ki atish ka bujha sakna
kare gar abr-e-tufan-khez kuun aa kar kumak dariya
na hove ‘abru’ khana-kharabi kyuun ki mardum ki
kya anjhuvan men mere ab sama siin ta-samak dariya
Leave a Reply