dar tak ab chhod diya ghar se nikal kar aana
ya vo raton ko sada bhes badal kar aana
hamdamo ye koi rona hai ki tufan hai aah
dekhiyo chashm se dariya ka ubal kar aana
qasd jab jaane ka karta huun main us shokh ke paas
tegh-e-abru ye kahe hai ki sambhal kar aana
hasil us kuche men jaane se hamen hai aur kya
ulte ghar apne magar khaak men ral kar aana
vaan se avval dil-e-be-tab tu kab aata hai
aur aana bhi to sau ja pe machal kar aana
hamdamo meri sifarish ko to jaate ho vale
kahin vaan ja ke na kuchh aur khalal kar aana
duube yuun bahr-e-mohabbat men ki ab jite-ji
apna dushvar hai uupar ko uchhal kar aana
ku-e-qatil men dam-e-naza koi le jaao
ja ke us ja hamen uqda hai ye hal kar aana
us ka be-vajh nahin hai ye chaman se bahar
gul mire samne hathon men masal kar aana
bazm-e-khuban men agarche koi parchae hazar
par tire paas hamen vaan se bhi tal kar aana
ji chala tan se mire jald ze-rah-e-ashfaq
ghar se do chaar qadam aise men chal kar aana
‘jurat’ us ki kahun kya tujh se tarah-dari main
jaana jab uth ke tab ik ruup badal kar aana
Leave a Reply