• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ab Wahi Harf-E-Junun Sab Ki Zaban Thahri Hai

Ab Wahi Harf-E-Junun Sab Ki Zaban Thahri Hai

faiz-ahmad-faiz

ab vahi harf-e-junun sab ki zaban thahri hai

jo bhi chal nikli hai vo baat kahan thahri hai

aaj tak shaikh ke ikram men jo shai thi haram

ab vahi dushman-e-din rahat-e-jan thahri hai

hai khabar garm ki phirta hai gurezan naseh

guftugu aaj sar-e-ku-e-butan thahri hai

hai vahi ariz-e-laila vahi shirin ka dahan

nigah-e-shauq ghadi bhar ko jahan thahri hai

vasl ki shab thi to kis darja subuk guzri thi

hijr ki shab hai to kya sakht giran thahri hai

bikhri ik baar to haath aai hai kab mauj-e-shamim

dil se nikli hai to kab lab pe fughan thahri hai

dast-e-sayyad bhi aajiz hai kaf-e-gul-chin bhi

bu-e-gul thahri na bulbul ki zaban thahri hai

aate aate yunhi dam bhar ko ruki hogi bahar

jaate jaate yunhi pal bhar ko khizan thahri hai

ham ne jo tarz-e-fughan ki hai qafas men ijad

‘faiz’ gulshan men vahi tarz-e-bayan thahri hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kisi Se Bhi Nahin Hum Sabr Ki Talqin Lete Hain

Teri Taswiron Ko Dekh Pighalti Hain

Taklif-E-Iltifat-E-Gurezan Kabhi Kabhi

Jo Aansuon Ko Na Chamkae Wo KHushi Kya Hai

poet

Har Koi Us Ka Kharidar Hua Chahta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet