kaash main bhi kabhi yaron ka kaha maan sakun
aankh ke jism pe ḳhvabon ki rida taan sakun
main samundar huun na tu mera shanavar pyare
tu bayaban hai na main ḳhaak tiri chhan sakun
ru-e-dilbar bhi vahi chehra-e-qatil bhi vahi
tu kabhi aankh mila.e to main pahchan sakun
vaqt ye aur hai mujh men ye kahan taab ki main
yariyan jhel sakun dushmaniyan Thaan sakun
jab sitam hai ye ta.aruf hi to kaisa ho agar
main use janne valon ki tarah jaan sakun
Leave a Reply