aage hamare ahd se vahshat ko ja na thi
divangi kaso ki bhi zanjir-e-pa na thi
begana sa lage hai chaman ab khizan men haae
aisi gai bahar magar ashna na thi
kab tha ye shor-e-nauha tira ishq jab na tha
dil tha hamara aage tu matam-sara na thi
vo aur koi hogi sahar jab hui qubul
sharminda-e-asar to hamari dua na thi
aage bhi tere ishq se khinche the dard-o-ranj
lekin hamari jaan par aisi bala na thi
dekhe dayar-e-husn ke men karvan bahut
lekin kaso ke paas mata-e-vafa na thi
aai pari si parda-e-mina se jaam tak
ankhon men teri dukhtar-e-raz kya haya na thi
is vaqt se kya hai mujhe to charagh-e-vaqf
makhluq jab jahan men nasim-o-saba na thi
pazhmurda is qadar hain ki hai shubh ham ko ‘mir’
tan men hamare jaan kabhu thi bhi ya na thi
Leave a Reply