zindagī be-sar-o-sāmān hai qissa kyā hai
jis ko dekho vo pareshān hai qissa kyā hai
zulf aariz pe pareshān hai qissa kyā hai
sāya-e-kufr meñ īmān hai qissa kyā hai
aaj ke daur meñ bas chāk-garebāñ honā
tere dīvānoñ kī pahchān hai qissa kyā hai
yā tire husn kī tanvīr se raushan hai jahāñ
yā mire ishq kā irfān hai qissa kyā hai
zohd shiblī-o-ġhazālī kā hayā hāfiz kī
haath meñ ‘mīr’ kā dīvān hai qissa kyā hai
azmat-bād-e-bahārī mujhe taslīm magar
phuul sharminda-e-ehsān hai qissa kyā hai
apne anjām se kyoñ aaj kā insāñ ‘anvar’
jānte būjhte anjān hai qissa kyā hai