varid koh-e-bayaban jab men divana hua
kohkan se dosti majnun se yarana hua
vahshat-afza kis qadar apna bhi afsana hua
mera qissa sunte sunte qais divana hua
khar-e-sahra par khiraman jab main divana hua
khun-e-pa se rashk-e-paen baagh virana hua
aankh nargis se lada kar ashna hi andalib
ai gul-e-tar ek main aur sabza begana hua
pahniye kafni qanaat hai libas faqir men
kab tabdil us ko shakl rakht-e-shahana hua
kal vahan par hovega gor-e-ghariban ka maqam
aaj jis ja par bana qasr-e-amirana hua
baiat-e-daste-subu ka pas pyala pi liya
taak ka shajara mila mashrab bhi rindana hua
sham-e-kaukal dekhte hi anjuman men phatak gaya
ik jale tan ashiqon men ham sa parvana hua
tal gai sar se bala apna muqaddar khul gaya
mu-e-sar men aaj dast-e-yar ka shana hua
ab kahin koi thikana hi nahin juz ku-e-yar
murtad-e-kaaba hua mardud-e-but-khana hua
jam-e-kausar saqi-e-kausar bhi denge hashr men
dast-e-saqi se inayat mujh ko paimana hua
kohr ki qutuben hain ai mah tiri tasbih men
kaukab-e-sayyara saan raushan har ik daana hua
kaun aisa hai jo mujh bekas ki dildari kare
darpa-e-jan dost dushman apna begana hua
khuub hi pakde ye kafir bhi bala ki saanp the
panja-e-afsun-gar ka zulfon men tiri shana hua
tum bata do kis jagah rakhe hain dil ushshaq ke
dhundh lunga aap mera dil hi pahchana hua
sozan-e-isa ne us ke paanv ke moze siye
panja-e-khurshid hazir le ke dastana hua
chahta huun apni zanjiren junun ke josh men
rizq mere vaste zanjir ka daana hua
dar-ba-dar maara phira main justuju-e-yar men
zahid-e-kaaba hua rahban-e-but-khana hua
naam par mujh bada-kash ke saad chashm-e-mast hai
nama-e-aamal mera khat paimana hua
mere ghar aaya hai mere sher sunne ko vo ‘mehr’
ghairat-e-baitushsharaf apna bhi kashana hua
Leave a Reply