bevafa hai ba-vafa hai faisla hota nahin
us se mil kar bhi haqiqat ka pata hota nahin
jab chamakti shahrahen samne maujud hon
mujh se phir pagDanDiyon par iktifa hota nahin
dard ke rishton ki apni ik alag hai dastan
fasla hota hai phir bhi fasla hota nahin
pesha-var logon se kya len zindagi par tabsira
niind aur ḳhvabon se un ka vasta hota nahin
gahma-gahmi zindagi ki uf ye raftar-e-jahan
biite lamhon ko dobara sochna hota nahin
Leave a Reply