irada tha ki ab ke rang-e-duniya dekhna hai
ḳhabar kya thi ki apna hi tamasha dekhna hai
Dasega bebasi ka naag jaane aur kab tak
na jaane aur kitne din ye naqsha dekhna hai
dua ka shamiyana bhi nahin hai ab to sar par
so ḳhud ko hiddat-e-gham men jhulasta dekhna hai
nahin ab sochna kya ho chuka kya hoga aage
bas ab to haath ki rekha ka likkha dekhna hai
bahut dekha hai ḳhud ko ranj par taqsim hote
aur ab taqsim-dar-taqsim hota dekhna hai
main phir ik ḳhat tire angan girana chahta huun
mujhe phir se tira rang-e-burida dekhna hai
tu sar-ta-pa zabani yaad ho ja.egi mujh ko
ki ab main ne tujhe itna ziyada dekhna hai
‘hasan’ main ek lambi saans lena chahta huun
main jaisa tha kisi din ḳhud ko vaisa dekhna hai
Leave a Reply