makanon ke nagar men ham agar kuchh ghar bana lete
to apni bastiyon ko sovarg se baḌh kar bana lete
hamen apne ilaqon se mohabbat ho nahin paa.i
vagarna zindagi ko aur bhi behtar bana lete
samay se laḌ rahe the aur lamhe kar diye barbad
hamen karna ye tha lamhat ka lashkar bana lete
ghanimat hai ki jangal ke usulon ko nahin maana
vagarna ashiyanon ko aja.ib-ghar bana lete
agar sauda hi karna tha use to bol to deta
mohabbat ke liye ham dil ko bhi daftar bana lete
havas hairan na kar paati talab tanha na kar paati
agar ham hasraton ko pyaar ka sagar bana lete
kahin aisa jo ho paata ki laḌte hi nahin ham tum
bahut mumkin tha har kankar ko shiv-shankar bana lete
Leave a Reply